hai dil-e-sozāñ meñ tuur us kī tajallī-gāh kā
rū-e-ātishnāk har shola hai merī aah kā
vasl kyā ham ḳhāksāroñ ko ho is dil-ḳhvāh kā
ḳhaak meñ ālūda honā kab hai mumkin maah kā
nūr-afshāñ jab se hai dil meñ ḳhayāl us maah kā
tuur kā shola dhuāñ hai merī sham-e-āh kā
qāmat-e-mauzūñ nazar aa.e mujhe jā-e-alif
thā shurū-e-āshiqī din merī bismillāh kā
samjhe mai-kash dekh kar abrū tirī bālā-e-chashm
mai-kade se martaba aalā hai baitullāh kā
āmad-e-ḳhat meñ to hone de nigāhoñ kā guzar
dekh le bachne nahīñ paatā hai sabza raah kā
ḳhalq ne qur.ān dekhā jab huā māh-e-rajab
ham ne dekhā mus.haf-e-ruḳhsār apne maah kā
aate hī us tifl ke raushan siyah-ḳhāna huā
sham.a saañ jalva hai us ke qāmat-e-kotāh kā
yaar kā 'nāsiḳh' phaTā hai pairahan to aib kyā
hai katāñ ko chaak karnā kaam nūr-e-māh kā
hai dil-e-sozan mein tur us ki tajalli-gah ka
ru-e-atishnak har shola hai meri aah ka
wasl kya hum KHaksaron ko ho is dil-KHwah ka
KHak mein aaluda hona kab hai mumkin mah ka
nur-afshan jab se hai dil mein KHayal us mah ka
tur ka shola dhuan hai meri sham-e-ah ka
qamat-e-mauzun nazar aae mujhe ja-e-alif
tha shuru-e-ashiqi din meri bismillah ka
samjhe mai-kash dekh kar abru teri baala-e-chashm
mai-kade se martaba aala hai baitullah ka
aamad-e-KHat mein to hone de nigahon ka guzar
dekh le bachne nahin pata hai sabza rah ka
KHalq ne quran dekha jab hua mah-e-rajab
hum ne dekha mushaf-e-ruKHsar apne mah ka
aate hi us tifl ke raushan siyah-KHana hua
shama san jalwa hai us ke qamat-e-kotah ka
yar ka 'nasiKH' phaTa hai pairahan to aib kya
hai katan ko chaak karna kaam nur-e-mah ka
Leave a comment