havā ke haath meñ ḳhanjar hai aur sab chup haiñ
lahū-luhān mirā ghar hai aur sab chup haiñ
sadā.eñ bikhrī paḌī haiñ tamām āñgan meñ
nazar nazar meñ ye manzar hai aur sab chup haiñ
na bolne kī manāhī na koī dushvārī
zabāñ sabhī ko mayassar hai aur sab chup haiñ
qusūr-vār huuñ itnā ki chashm-dīd thā maiñ
aur ab gunāh mire sar hai aur sab chup haiñ
ye buz-dilī nahīñ sāhab to aur phir kyā hai
sitam-shi.ār sitam par hai aur sab chup haiñ
hawa ke hath mein KHanjar hai aur sab chup hain
lahu-luhan mera ghar hai aur sab chup hain
sadaen bikhri paDi hain tamam aangan mein
nazar nazar mein ye manzar hai aur sab chup hain
na bolne ki manahi na koi dushwari
zaban sabhi ko mayassar hai aur sab chup hain
qusur-war hun itna ki chashm-did tha main
aur ab gunah mere sar hai aur sab chup hain
ye buz-dili nahin sahab to aur phir kya hai
sitam-shiar sitam par hai aur sab chup hain
Source: Book : Mahr-e-Do neem (Pg. 59)
Leave a comment