Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Baqaullah Baqa

  • Ghazal


the hum istada tere dar pe wale baiTh gae


the ham istāda tire dar pe vale baiTh ga.e
tū ne chāhā thā ki Taale na Tale baiTh ga.e

bazm meñ shaiḳh-jī ab hai ki hai yaañ aib nahīñ
farsh par gar na milī jā to tale baiTh ga.e

ġhair bad-vaz.a haiñ mahfil se shitāb un kī uTho
paas aisoñ ke tum ai jaan bhale baiTh ga.e

ghar se niklā na tū aur muntziroñ ne tere
dar pe naale kiye yaañ tak ki gale baiTh ga.e

nā-tavāñ ham hue yaañ tak ki tirī mahfil tak
ghar se aate hue sau baar chale baiTh ga.e

ashk aur aah kī shiddat na thamī garche 'baqā'
ghar ke ghar is meñ hazāroñ ke jale baiTh ga.e

the hum istada tere dar pe wale baiTh gae
tu ne chaha tha ki Tale na Tale baiTh gae

bazm mein shaiKH-ji ab hai ki hai yan aib nahin
farsh par gar na mili ja to tale baiTh gae

ghair bad-waza hain mahfil se shitab un ki uTho
pas aison ke tum ai jaan bhale baiTh gae

ghar se nikla na tu aur muntziron ne tere
dar pe nale kiye yan tak ki gale baiTh gae

na-tawan hum hue yan tak ki teri mahfil tak
ghar se aate hue sau bar chale baiTh gae

ashk aur aah ki shiddat na thami garche 'baqa'
ghar ke ghar is mein hazaron ke jale baiTh gae


Leave a comment

+