tujh sā nahīñ jahān meñ ḳhūñ-rez dūsrā
paidā huā kahāñ se tū chañgez dūsrā
siine meñ mere hai jo dil-e-dāġhdār ishq
ye shams dūsrā hai ye tabrez dūsrā
ġhālib ko kyoñ zuhūrī-e-sānī na jāniye
dillī ko kyoñ samajhiye na tarshez dūsrā
terā lab aur merā lab-e-jām aur hai
hai ek pur-shakar namak-āmez dūsrā
tujh sa nahin jahan mein KHun-rez dusra
paida hua kahan se tu changez dusra
sine mein mere hai jo dil-e-daghdar ishq
ye shams dusra hai ye tabrez dusra
ghaalib ko kyon zuhuri-e-sani na jaaniye
dilli ko kyon samajhiye na tarshez dusra
tera lab aur mera lab-e-jam aur hai
hai ek pur-shakar namak-amez dusra
Source: Book : Kulliyat-e-Hafeez Jalandhari (Pg. 405)
Leave a comment