Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Iftikhar Haidar

  • Ghazal


fuzul naz uThane se baat bigDi hai


fuzūl naaz uThāne se baat bigḌī hai
kisī ko dil meñ basāne se baat bigḌī hai

thā vājibī sā ta.alluq to baat achchhī thī
ta.alluqāt baḌhāne se baat bigḌī hai

ham iḳhtilāf ko aapas meñ tai na kar paa.e
kisī ko beach bulāne se baat bigḌī hai

mohabbatoñ meñ takalluf bhī hai sam-e-qātil
qadam sambhal ke uThāne se baat bigḌī hai

tumhāre saath bigaḌne pe kuchh malāl nahīñ
hamārī ek zamāne se baat bigḌī hai

fazā-e-vahm dar aa.ī ta.alluqāt ke beach
ghaḌī ghaḌī ke fasāne se baat bigḌī hai

ham apnī zaat kī tardīd kar nahīñ paa.e
anā ke zo.am meñ aane se baat bigḌī hai

tire baġhair guzāra nahīñ kisī sūrat
use ye baat batāne se baat bigḌī hai

fuzul naz uThane se baat bigDi hai
kisi ko dil mein basane se baat bigDi hai

tha wajibi sa talluq to baat achchhi thi
talluqat baDhane se baat bigDi hai

hum iKHtilaf ko aapas mein tai na kar pae
kisi ko beach bulane se baat bigDi hai

mohabbaton mein takalluf bhi hai sam-e-qatil
qadam sambhal ke uThane se baat bigDi hai

tumhaare sath bigaDne pe kuchh malal nahin
hamari ek zamane se baat bigDi hai

faza-e-wahm dar aai talluqat ke beach
ghaDi ghaDi ke fasane se baat bigDi hai

hum apni zat ki tardid kar nahin pae
ana ke zoam mein aane se baat bigDi hai

tere baghair guzara nahin kisi surat
use ye baat batane se baat bigDi hai


Leave a comment

+