Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Nafas Ambalvi

  • Ghazal


be-laus mohabbat ka sila DhunDh raha hun


be-laus mohabbat kā sila DhūñDh rahā huuñ
nādāñ huuñ ye is shahr meñ kyā DhūñDh rahā huuñ

ik moḌ pe TuuTe hue khanDar se makāñ meñ
guzre hue lamhoñ kā patā DhūñDh rahā huuñ

muddat se ye ḳhanjar mire siine meñ hai aur maiñ
riste hue zaḳhmoñ kī davā DhūñDh rahā huuñ

dīvāna jise sañg-tarāshī kā junūñ hai
kahtā hai ki patthar meñ ḳhudā DhūñDh rahā huuñ

munsif tire insāf se vāqif huuñ tabhī to
nā-karda gunāhoñ kī sazā DhūñDh rahā huuñ

ye shaam aur us par tirī yādoñ kī halāvat
ik jaam meñ do shai kā nasha DhūñDh rahā huuñ

be-laus mohabbat ka sila DhunDh raha hun
nadan hun ye is shahr mein kya DhunDh raha hun

ek moD pe TuTe hue khanDar se makan mein
guzre hue lamhon ka pata DhunDh raha hun

muddat se ye KHanjar mere sine mein hai aur main
riste hue zaKHmon ki dawa DhunDh raha hun

diwana jise sang-tarashi ka junun hai
kahta hai ki patthar mein KHuda DhunDh raha hun

munsif tere insaf se waqif hun tabhi to
na-karda gunahon ki saza DhunDh raha hun

ye sham aur us par teri yaadon ki halawat
ek jam mein do shai ka nasha DhunDh raha hun


Leave a comment

+