jab mere rāste meñ koī mai-kada paḌā
ik baar apne ġham kī taraf dekhnā paḌā
tark-e-ta.alluqāt ko ik lamha chāhiye
lekin tamām umr mujhe sochnā paḌā
ik tishna-lab ne chhīn liyā baḌh ke jām-e-mai
saaqī samajh rahā thā sabhī ko girā-paḌā
aa.e the pūchhte hue maiḳhāne kā pata
saaqī se lekin apnā pata pūchhnā paḌā
yuuñ jagmagā rahā hai mirā naqsh-e-pā 'fanā'
jaise ho rāste meñ koī aa.ina paḌā
jab mere raste mein koi mai-kada paDa
ek bar apne gham ki taraf dekhna paDa
tark-e-talluqat ko ek lamha chahiye
lekin tamam umr mujhe sochna paDa
ek tishna-lab ne chhin liya baDh ke jam-e-mai
saqi samajh raha tha sabhi ko gira-paDa
aae the puchhte hue maiKHane ka pata
saqi se lekin apna pata puchhna paDa
yun jagmaga raha hai mera naqsh-e-pa 'fana'
jaise ho raste mein koi aaina paDa
Videos
This video is playing from YouTube
Videos
This video is playing from YouTube
Anup Jalota
Leave a comment