dushman ke irādoñ kī ḳhabar hai ki nahīñ hai
hālāt pe kuchh terī nazar hai ki nahīñ hai
dekho to shab-e-tār ke maare hue logo
jo shaam hai pāband-e-sahar hai ki nahīñ hai
jis samt tumheñ le ke chalī andhī aqīdat
us samt koī rāhguzar hai ki nahīñ
kī aur añdhere ne mirī tez basārat
mamnūn manāzir kī nazar hai ki nahīñ hai
ye dekh le tū ḳhvāhish-e-dastār se pahle
'āsī' tire kāñdhe pe bhī sar hai ki nahīñ hai
dushman ke iradon ki KHabar hai ki nahin hai
haalat pe kuchh teri nazar hai ki nahin hai
dekho to shab-e-tar ke mare hue logo
jo sham hai paband-e-sahar hai ki nahin hai
jis samt tumhein le ke chali andhi aqidat
us samt koi rahguzar hai ki nahin
ki aur andhere ne meri tez basarat
mamnun manazir ki nazar hai ki nahin hai
ye dekh le tu KHwahish-e-dastar se pahle
'asi' tere kandhe pe bhi sar hai ki nahin hai
Daryaganj"
Leave a comment