Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Maatam Fazl Mohammad

  • Ghazal


ila ya shah-e-KHuban kijiye shad


ilā yā shāh-e-ḳhūbāñ kījiye shaad
hue jaate haiñ āshiq ġham se barbād

hameñ tum yaad ho har lahza lekin
hamārī bhī kabhī to kījiye yaad

giraftār-e-balā bālā.e tū yaar
ġham-e-daurāñ se haiñ juuñ sarv āzād

agar lailā hai tū majnūñ haiñ ham
vagar shīrīñ hai tū ham haiñ farhād

vahī īrād kar saktā hai āḳhir
kiyā hai jis ne avval ham ko ījād

kisī shai ko durust-o-chust daa.em
na dekhā dar-jahān-e-sust buniyād

sher hai ashk-e-chashm-o-laḳht-e-dil se
uThāyā chāhiye ham-āb o ham-zād

gul-e-tar ḳhaar se samjheñ batar-tar
jo dekheñ andalībāñ rote sayyād

gulū-e-gul to pakḌe āḳhir-kār
ga.e kab rā.egāñ bulbul ke fariyād

abas karte ho bahr-e-tark takrār
azīzo huuñ maiñ duḳht-e-raz kā dāmād

nahīñ jis roz mī.ād āmad-e-yār
vahī ham jānte haiñ roz-e-mī.ād

bahut farzāna the dīvāne ham ko
banā.e shoḳh tiflāñ-e-parī-zād

hamal mirrīḳh māshūqoñ ne merā
kiyā hai sar judā az teġh-e-be-dād

hazārāñ shukr mulk-e-sindh meñ bhī
mirā maskan hai shahr-e-hyderabad

janāb haidar-e-safdar se 'mātam'
talab auqāt-e-mushkil meñ kar imdād

ila ya shah-e-KHuban kijiye shad
hue jate hain aashiq gham se barbaad

hamein tum yaad ho har lahza lekin
hamari bhi kabhi to kijiye yaad

giraftar-e-bala baalae tu yar
gham-e-dauran se hain jun sarw aazad

agar laila hai tu majnun hain hum
wagar shirin hai tu hum hain farhad

wahi irad kar sakta hai aaKHir
kiya hai jis ne awwal hum ko ijad

kisi shai ko durust-o-chust daem
na dekha dar-jahan-e-sust buniyaad

sher hai ashk-e-chashm-o-laKHt-e-dil se
uThaya chahiye ham-ab o ham-zad

gul-e-tar KHar se samjhen batar-tar
jo dekhen andaliban rote sayyaad

gulu-e-gul to pakDe aaKHir-kar
gae kab raegan bulbul ke fariyaad

abas karte ho bahr-e-tark takrar
azizo hun main duKHt-e-raz ka damad

nahin jis roz miad aamad-e-yar
wahi hum jaante hain roz-e-miad

bahut farzana the diwane hum ko
banae shoKH tiflan-e-pari-zad

hamal mirriKH mashuqon ne mera
kiya hai sar juda az tegh-e-be-dad

hazaran shukr mulk-e-sindh mein bhi
mera maskan hai shahr-e-hyderabad

janab haidar-e-safdar se 'matam'
talab auqat-e-mushkil mein kar imdad


Source: Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 173) Author : Naseer Ahmad Nasir Publication : Room No.1, 1st Floor, Awan Palaza, Shadman Market, Lahore (April To Sep 1998,Issue No. 5,6,) Edition : April To Sep 1998,Issue No. 5,6,

Leave a comment

+