apnī dhuup meñ bhī kuchh jal
har saaye ke saath na Dhal
lafzoñ ke phūloñ pe na jā
dekh saroñ par chalte hal
duniyā barf kā tuudā hai
jitnā jal saktā hai jal
ġham kī nahīñ āvāz koī
kāġhaz kaale kartā chal
ban ke lakīreñ ubhre haiñ
māthe par rāhoñ ke bal
maiñ ne terā saath diyā
mere muñh par kālak mal
aas ke phuul khile 'bāqī'
dil se guzrā phir bādal
apni dhup mein bhi kuchh jal
har saye ke sath na Dhal
lafzon ke phulon pe na ja
dekh saron par chalte hal
duniya barf ka tuda hai
jitna jal sakta hai jal
gham ki nahin aawaz koi
kaghaz kale karta chal
ban ke lakiren ubhre hain
mathe par rahon ke bal
main ne tera sath diya
mere munh par kalak mal
aas ke phul khile 'baqi'
dil se guzra phir baadal
Leave a comment