ye kaise numū ke silsile haiñ
shāḳhoñ pe gulāb jal-bujhe haiñ
phailī hai sitam kī aag harsū
har samt alaav jal rahe haiñ
har aañkh savāl kar rahī hai
har dil meñ hazār vasvase haiñ
barsī haiñ balā.eñ āsmāñ se
dhartī pe azaab ug rahe haiñ
mahfūz nahīñ panāh-gāheñ
kyā aql-e-rasā ke mo.ajize haiñ
bāzār lahū kī vahshatoñ ke
tahzīb ke naam par saje haiñ
ġhairoñ pe hai inhisār apnā
socheñ bhī udhār māñgte haiñ
sūraj bhī hai dastaras meñ lekin
ham raushnī ko taras ga.e haiñ
kyā jāniye ahd-e-nau kab aa.e
ab tak to purāne silsile haiñ
ye kaise numu ke silsile hain
shaKHon pe gulab jal-bujhe hain
phaili hai sitam ki aag harsu
har samt alaw jal rahe hain
har aankh sawal kar rahi hai
har dil mein hazar waswase hain
barsi hain balaen aasman se
dharti pe azab ug rahe hain
mahfuz nahin panah-gahen
kya aql-e-rasa ke moajize hain
bazar lahu ki wahshaton ke
tahzib ke nam par saje hain
ghairon pe hai inhisar apna
sochen bhi udhaar mangte hain
suraj bhi hai dastaras mein lekin
hum raushni ko taras gae hain
kya jaaniye ahd-e-nau kab aae
ab tak to purane silsile hain
Source: Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002)
Leave a comment