Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Aabid Adeeb

  • Ghazal


kaisi kaisi rah mein diwaren karte hain hail log


kaisī kaisī raah meñ dīvāreñ karte haiñ haa.il log
phir bhī manzil pā lete haiñ ham jaise zinda dil log

vo dekho sāgar garjā tūfān uThā nayyā Duubī
aur tamāsha dekh rahe haiñ baiThe sāhil sāhil log

bazm sajā kar bheñT kiye haiñ hamdardī ke chand alfāz
merā dukhḌā baañT rahe haiñ mere ġham meñ shāmil log

bastī bastī ghuum rahe haiñ bhiiḌ bhare chaurāhoñ par
ujle ujle pahnāoñ meñ chehre badle qātil log

TuuT chaleñgī sab āshā.eñ tab hī jīvan raas aa.egā
kuchh din aur kaseñge ham par ta.ane mahfil mahfil log

kitnī ummīdoñ kī sham.eñ jalte hī bujh jaatī haiñ
ab bhī an-chāhe chhātī par dhar hī dete haiñ sil log

barf ke ā.īna-ḳhānoñ meñ sho.aloñ kā siñgār kareñge
aivānoñ meñ aish manā kar taḌpeñge patthar dil log

kaisi kaisi rah mein diwaren karte hain hail log
phir bhi manzil pa lete hain hum jaise zinda dil log

wo dekho sagar garja tufan uTha nayya Dubi
aur tamasha dekh rahe hain baiThe sahil sahil log

bazm saja kar bhenT kiye hain hamdardi ke chand alfaz
mera dukhDa banT rahe hain mere gham mein shamil log

basti basti ghum rahe hain bhiD bhare chaurahon par
ujle ujle pahnaon mein chehre badle qatil log

TuT chalengi sab aashaen tab hi jiwan ras aaega
kuchh din aur kasenge hum par tane mahfil mahfil log

kitni ummidon ki shamen jalte hi bujh jati hain
ab bhi an-chahe chhati par dhar hi dete hain sil log

barf ke aaina-KHanon mein shoalon ka singar karenge
aiwanon mein aish mana kar taDpenge patthar dil log


Leave a comment

+