Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Yaqoob Ali Aasi

  • Ghazal


aap apna nishan nahin malum


aap apnā nishāñ nahīñ ma.alūm
luT ga.e ham kahāñ nahīñ ma.alūm

le chalā hai junūn-e-shauq kidhar
hogī manzil kahāñ nahīñ ma.alūm

dauḌtā huuñ ġhubār ke pīchhe
hai kahāñ kārvāñ nahīñ mālūm

jhuk gayā sar-basad ḳhulūs-o-niyāz
kis kā hai āstāñ nahīñ ma.alūm

ek halchal hai ḳhāna-e-dil meñ
kaun hai mehmāñ nahīñ ma.alūm

barq chamkī thī ek baar yahāñ
kyā huā āshiyāñ nahīñ ma.alūm

jaane kis ke ḳhayāl meñ 'āsī'
ho ga.e gum kahāñ nahīñ ma.alūm

aap apna nishan nahin malum
luT gae hum kahan nahin malum

le chala hai junun-e-shauq kidhar
hogi manzil kahan nahin malum

dauDta hun ghubar ke pichhe
hai kahan karwan nahin malum

jhuk gaya sar-basad KHulus-o-niyaz
kis ka hai aastan nahin malum

ek halchal hai KHana-e-dil mein
kaun hai mehman nahin malum

barq chamki thi ek bar yahan
kya hua aashiyan nahin malum

jaane kis ke KHayal mein 'asi'
ho gae gum kahan nahin malum


Leave a comment

+