Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Iftikhar Haidar

  • Ghazal


tewar bhed batate hain ye nam-alud hawaon ke


tevar bhed batāte haiñ ye nam-ālūd havāoñ ke
aaj zarā khul khelne vaale haiñ andāz ghaTāoñ ke

kamra band kiyā aur saare zabt ke bandhan TuuT ga.e
āñkheñ Dhīlī chhoḌīñ raste khol diye dariyāoñ ke

dogānā āzār hai sāhab ham jaisoñ kī qismat meñ
ham muhtāj ravayyoñ ke aur ham majbūr anāoñ ke

dekh le kitne kashT uThā kar tere dar tak pahuñchā huuñ
dekh le papḌī hoñToñ kī aur dekh le chhāle paañv ke

khā.iyāñ haiñ khaDDe roḌe haiñ kañkar patthar haiñ lekin
jannat ke raste lagte haiñ saare raste gaañv ke

un kī chaah meñ qarya qarya bastī bastī ghuum liye
un kī chaah meñ kone khudre chhān liye sahrāoñ ke

ham jo bazm-e-ġhair meñ aksar un kī bāteñ karte haiñ
taptī dhuup meñ lutf liyā karte haiñ ThanDī chhāñv ke

toḌ ke rasm-e-ahd-e-vafā ko āḳhir chhoḌ hī jaanā thā
pinjre meñ aa baiThe the panchhī āzād fazāoñ ke

ham mehrāb aur mimbar vāloñ kī āñkhoñ ko chubhte haiñ
ham ne aql ko rahbar maanā ham mafrūr ḳhudāoñ ke

tewar bhed batate hain ye nam-alud hawaon ke
aaj zara khul khelne wale hain andaz ghaTaon ke

kamra band kiya aur sare zabt ke bandhan TuT gae
aankhen Dhili chhoDin raste khol diye dariyaon ke

dogana aazar hai sahab hum jaison ki qismat mein
hum muhtaj rawayyon ke aur hum majbur anaon ke

dekh le kitne kashT uTha kar tere dar tak pahuncha hun
dekh le papDi honTon ki aur dekh le chhaale panw ke

khaiyan hain khaDDe roDe hain kankar patthar hain lekin
jannat ke raste lagte hain sare raste ganw ke

un ki chah mein qarya qarya basti basti ghum liye
un ki chah mein kone khudre chhan liye sahraon ke

hum jo bazm-e-ghair mein aksar un ki baaten karte hain
tapti dhup mein lutf liya karte hain ThanDi chhanw ke

toD ke rasm-e-ahd-e-wafa ko aaKHir chhoD hi jaana tha
pinjre mein aa baiThe the panchhi aazad fazaon ke

hum mehrab aur mimbar walon ki aankhon ko chubhte hain
hum ne aql ko rahbar mana hum mafrur KHudaon ke


Source: Book : Mujalla Dastavez (Pg. 187) Author : Aziz Nabeel Publication : Edarah Dastavez (2010) Edition : 2010

Leave a comment

+