ek mushkil kitāb jaisī thī
zindagī ik azaab jaisī thī
ham ko to ḳhaar hī mile lekin
ye sunā thā gulāb jaisī thī
ghūñT dar ghūñT pī to ye jaanā
ek kaḌvī sharāb jaisī thī
aa.ī hisse meñ jo yatīmoñ ke
vo to ḳhāna-ḳharāb jaisī thī
umr bhar ham sahejte the jise
ek ḳhasta kitāb jaisī thī
koī ta.abīr hī na ho jis kī
ik adhūre se ḳhvāb jaisī thī
hai shikasta sī aaj ye lekin
bachpane meñ navāb jaisī thī
tum ne dekhī nahīñ javānī meñ
zindagī āftāb jaisī thī
ek mushkil kitab jaisi thi
zindagi ek azab jaisi thi
hum ko to KHar hi mile lekin
ye suna tha gulab jaisi thi
ghunT dar ghunT pi to ye jaana
ek kaDwi sharab jaisi thi
aai hisse mein jo yatimon ke
wo to KHana-KHarab jaisi thi
umr bhar hum sahejte the jise
ek KHasta kitab jaisi thi
koi tabir hi na ho jis ki
ek adhure se KHwab jaisi thi
hai shikasta si aaj ye lekin
bachpane mein nawab jaisi thi
tum ne dekhi nahin jawani mein
zindagi aaftab jaisi thi
Source: Book : Pathan Shayraat ka Tazkira (Pg. 105) Author : Khan Mohammad Atif Publication : Khan Mohammad Atif (1983) Edition : 1983
Leave a comment