Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Tameezuddin Tameez Dehlvi

  • Ghazal


silsila to kar qasid us talak rasai ka


silsila to kar qāsid us talak rasā.ī kā
dukh sahā nahīñ jaatā yaar kī judā.ī kā

jab zarā mahak aa.ī shāḳh meñ lachak aa.ī
bāġhbāñ ko dhyān aayā baaġh kī safā.ī kā

farba thā tavānā thā terā jānā-mānā thā
jis pe tū huā shaidā lauñDā hai qasā.ī kā

sar pe pair rakhtā hai mujh se bair rakhtā hai
maiñ ne kab kiyā da.avā tujh se āshnā.ī kā

dostoñ meñ Than jaatī thī ye us kī nādānī
dushmanoñ ke haath aatā mauqa jag-hañsā.ī kā

har koī pareshāñ hai āsmāñ se nālāñ hai
har kisī ko shikva hai us kī kaj-adā.ī kā

ye ajiib sheva hai dostoñ kā shikva hai
har kisī ko da.avā hai apnī pārsā.ī kā

ai tamīz bas bhī kar is qadar na mar us par
kyuuñ hai 'shauq' charrāyā tujh ko jubba-sā.ī kā

silsila to kar qasid us talak rasai ka
dukh saha nahin jata yar ki judai ka

jab zara mahak aai shaKH mein lachak aai
baghban ko dhyan aaya bagh ki safai ka

farba tha tawana tha tera jaana-mana tha
jis pe tu hua shaida launDa hai qasai ka

sar pe pair rakhta hai mujh se bair rakhta hai
main ne kab kiya dawa tujh se aashnai ka

doston mein Than jati thi ye us ki nadani
dushmanon ke hath aata mauqa jag-hansai ka

har koi pareshan hai aasman se nalan hai
har kisi ko shikwa hai us ki kaj-adai ka

ye ajib shewa hai doston ka shikwa hai
har kisi ko dawa hai apni parsai ka

ai tamiz bas bhi kar is qadar na mar us par
kyun hai 'shauq' charraya tujh ko jubba-sai ka


Source: Book : Kashkol (Pg. 122) Author : Tahir Faraz Publication : Isteara Publications (2004) Edition : 2004

Leave a comment

+