Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ghalib Ahmad

  • Ghazal


mausam badal sake na tere intizar ke


mausam badal sake na tire intizār ke
ab ke bhī din guzar ga.e yūñhī bahār ke

ġham-ḳhez-o-ġham-shanās mirī pur-shikoh raat
kab aaogī pahāḌ sā ye din guzār ke

aayā huzūr-e-yār se shā.ir ko ye payām
aa.e sharāb-o-sher kā choġhā utaar ke

dil meñ tire utar na sakī merī koī baat
likkhe haiñ laakh sher ġhazal ke sañvār ke

ek musht-e-ḳhāk ban ke uḌā dil kā kārvāñ
dasht-e-talab meñ ab bhī nishāñ haiñ ġhubār ke

mausam badal sake na tere intizar ke
ab ke bhi din guzar gae yunhi bahaar ke

gham-KHez-o-gham-shanas meri pur-shikoh raat
kab aaogi pahaD sa ye din guzar ke

aaya huzur-e-yar se shair ko ye payam
aae sharab-o-sher ka chogha utar ke

dil mein tere utar na saki meri koi baat
likkhe hain lakh sher ghazal ke sanwar ke

ek musht-e-KHak ban ke uDa dil ka karwan
dasht-e-talab mein ab bhi nishan hain ghubar ke


Leave a comment

+