na kar paa.e dushman bhī jo dushmanī meñ
kiyā hai rafīqoñ ne vo dostī meñ
buzurgoñ se paayā hai ye raaz ham ne
hai jiine kī lazzat faqat sādgī meñ
abas hai ibādat abas is kā taqvā
agar ādamiyat nahīñ aadmī meñ
falak tak agar tū gayā bhī to kyā hai
bahut fāsla hai abhī āgahī meñ
zamāne ko ab koī kaise batā.e
baḌī tīrgī hai na.ī raushnī meñ
bahādur marā ek hī baar 'lāġhar'
ka.ī baar buzdil marā zindagī meñ
na kar pae dushman bhi jo dushmani mein
kiya hai rafiqon ne wo dosti mein
buzurgon se paya hai ye raaz hum ne
hai jine ki lazzat faqat sadgi mein
abas hai ibaadat abas is ka taqwa
agar aadamiyat nahin aadmi mein
falak tak agar tu gaya bhi to kya hai
bahut fasla hai abhi aagahi mein
zamane ko ab koi kaise batae
baDi tirgi hai nai raushni mein
bahadur mara ek hi bar 'laghar'
kai bar buzdil mara zindagi mein
Source: Book : siip-volume-47 (Pg. 52)
Leave a comment