vo mire dil meñ yuuñ samā ke ga.ī
laakh chāhā magar na jā ke ga.ī
ek arsa huā kabhī na khulī
dil pe jo girah vo lagā ke ga.ī
raat ġham kī kaTe nahīñ kaTtī
sub.h ik pal meñ muskurā ke ga.ī
maan TuuTe to phir nahīñ juḌtā
bad-gumānī kabhī na aa ke ga.ī
ai 'na.īm' ab na vāpsī hogī
bārhā zindagī batā ke ga.ī
wo mere dil mein yun sama ke gai
lakh chaha magar na ja ke gai
ek arsa hua kabhi na khuli
dil pe jo girah wo laga ke gai
raat gham ki kaTe nahin kaTti
subh ek pal mein muskura ke gai
man TuTe to phir nahin juDta
bad-gumani kabhi na aa ke gai
ai 'naim' ab na wapsi hogi
barha zindagi bata ke gai
Leave a comment