Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dil Ayubi

  • Ghazal


rah gaya KHwab-e-dil-aram adhura kis ka


rah gayā ḳhvāb-e-dil-ārām adhūrā kis kā
Dhal ga.ī shab to khulā hai ye darīcha kis kā

lamha lamha mujhe vīrān kiye detā hai
bas gayā mere tasavvur meñ ye chehra kis kā

āzmā.ish kī ghaḌī hai sar-e-maqtal dekheñ
zer-e-ḳhanjar vahī rahtā hai irāda kis kā

ye jo bedār bhī haiñ so.e hue bhī in meñ
shaam kis kī hai ḳhudā jaane saverā kis kā

rah-rav-e-āḳhir-e-shab haiñ sabhī uktā.e hue
kaun kab tak hai yahāñ saath bharosa kis kā

mere qātil ke tajassus meñ bhaTakne vaalo
ḳhuun ālūd hai bastī meñ pasīna kis kā

ā.īna-ḳhāna do-ālam ko banā kar ai 'dil'
muntazir baiThā hai vārafta-o-shaidā kis kā

rah gaya KHwab-e-dil-aram adhura kis ka
Dhal gai shab to khula hai ye daricha kis ka

lamha lamha mujhe viran kiye deta hai
bas gaya mere tasawwur mein ye chehra kis ka

aazmaish ki ghaDi hai sar-e-maqtal dekhen
zer-e-KHanjar wahi rahta hai irada kis ka

ye jo bedar bhi hain soe hue bhi in mein
sham kis ki hai KHuda jaane sawera kis ka

rah-raw-e-aKHir-e-shab hain sabhi uktae hue
kaun kab tak hai yahan sath bharosa kis ka

mere qatil ke tajassus mein bhaTakne walo
KHun aalud hai basti mein pasina kis ka

aaina-KHana do-alam ko bana kar ai 'dil'
muntazir baiTha hai warafta-o-shaida kis ka


Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab

Leave a comment

+