Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Abdul Ahad Saaz

  • Ghazal


ghul si gai ruh mein udasi


ghul sī ga.ī ruuh meñ udāsī
raas aa.ī na ham ko ḳhud-shanāsī

har moḌ pe be-kashish khaḌī hai
ik ḳhush-badanī o kam-libāsī

lālach meñ paroñ ke pair chhūTe
ab raḳht-e-safar hai be-asāsī

nafs-e-mazmūñ isī meñ hai go
mazmūn-e-nafas hai iqtibāsī

aa.ī bhī to kyā nigār-e-ta.abīr
oḌhe hue ḳhvāb kī ridā sī

jaadū sā alam kā kar ga.ī 'sāz'
un āñkhoñ kī multafit udāsī

ghul si gai ruh mein udasi
ras aai na hum ko KHud-shanasi

har moD pe be-kashish khaDi hai
ek KHush-badani o kam-libasi

lalach mein paron ke pair chhuTe
ab raKHt-e-safar hai be-asasi

nafs-e-mazmun isi mein hai go
mazmun-e-nafas hai iqtibasi

aai bhi to kya nigar-e-tabir
oDhe hue KHwab ki rida si

jadu sa alam ka kar gai 'saz'
un aankhon ki multafit udasi


Leave a comment

+