ahl-e-jahāñ ke saath vafā yā jafā karūñ
merī samajh meñ kuchh nahīñ aatā hai kyā karūñ
ye dard-e-dil to hāsil-e-umr-darāz hai
maiñ is ko apnī zaat se kyuuñ kar judā karūñ
duniyā yahī karegī to duniyā se peshtar
majrūh kyuuñ na ḳhud hī maiñ apnī anā karūñ
duniyā meñ kaun hai jo nahīñ hai mire ḳhilāf
ik tum hī rah ga.e ho tumheñ bhī ḳhafā karūñ
har zāviye se ziist ne rusvā kiyā mujhe
kis ruḳh se apnī zaat kā ab sāmnā karūñ
ehsān jo uThā.e haiñ auroñ ke vāste
auroñ pe haiñ vo qarz magar maiñ adā karūñ
āñkhoñ ko niiñd kī bhī rifāqat nahīñ nasīb
maiñ sham.a to nahīñ ki sahar tak jalā karūñ
hasrat hī rah ga.ī ki bahāroñ ke darmiyāñ
tere baġhair bhī to kabhī ḳhush rahā karūñ
begānagī ko chhoḌ ke fitrat bhī hañs paḌe
aadam ke naam par koī aisī ḳhatā karūñ
jab karb-e-āgahī meñ huuñ ai 'lais' āj-kal
is karb-e-āgahī se kise āshnā karūñ
ahl-e-jahan ke sath wafa ya jafa karun
meri samajh mein kuchh nahin aata hai kya karun
ye dard-e-dil to hasil-e-umr-daraaz hai
main is ko apni zat se kyun kar juda karun
duniya yahi karegi to duniya se peshtar
majruh kyun na KHud hi main apni ana karun
duniya mein kaun hai jo nahin hai mere KHilaf
ek tum hi rah gae ho tumhein bhi KHafa karun
har zawiye se zist ne ruswa kiya mujhe
kis ruKH se apni zat ka ab samna karun
ehsan jo uThae hain auron ke waste
auron pe hain wo qarz magar main ada karun
aankhon ko nind ki bhi rifaqat nahin nasib
main shama to nahin ki sahar tak jala karun
hasrat hi rah gai ki bahaaron ke darmiyan
tere baghair bhi to kabhi KHush raha karun
beganagi ko chhoD ke fitrat bhi hans paDe
aadam ke nam par koi aisi KHata karun
jab karb-e-agahi mein hun ai 'lais' aaj-kal
is karb-e-agahi se kise aashna karun
Pachas Sala Intekhab"
Leave a comment