Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Basheer Ahmad Basheer

  • Ghazal


ya mah-o-sal ki diwar gira di jae


yā mah-o-sāl kī dīvār girā dī jaa.e
yā mirī ḳhaak ḳhalāoñ meñ uḌā dī jaa.e

kaise āvāz harīm-e-rag-e-jāñ tak pahuñche
itnī duurī se tujhe kaise sadā dī jaa.e

hai to phir kaun hai us oT meñ dekhūñ to sahī
darmiyāñ se ye mirī zaat haTā dī jaa.e

tere bas meñ hai to phir yā mujhe patthar kar de
yā mirī ruuh kī ye pyaas bujhā dī jaa.e

chakhne paa.e na koī buuñd ye jaltī miTTī
abr uTThe to havā tez chalā dī jaa.e

kuchh dinoñ ba.ad use dekhā to dekhā na gayā
jaise ik jaltī huī jot bujhā dī jaa.e

ye lahaktī huī shāḳheñ ye mahaktī beleñ
ye harā kunj yahīñ umr batā dī jaa.e

āḳhir is jañg meñ kuchh merā bhī hissa hai 'bashīr'
mere hisse kī mujhe kyuuñ na ridā dī jaa.e

ya mah-o-sal ki diwar gira di jae
ya meri KHak KHalaon mein uDa di jae

kaise aawaz harim-e-rag-e-jaan tak pahunche
itni duri se tujhe kaise sada di jae

hai to phir kaun hai us oT mein dekhun to sahi
darmiyan se ye meri zat haTa di jae

tere bas mein hai to phir ya mujhe patthar kar de
ya meri ruh ki ye pyas bujha di jae

chakhne pae na koi bund ye jalti miTTi
abr uTThe to hawa tez chala di jae

kuchh dinon baad use dekha to dekha na gaya
jaise ek jalti hui jot bujha di jae

ye lahakti hui shaKHen ye mahakti belen
ye hara kunj yahin umr bata di jae

aaKHir is jang mein kuchh mera bhi hissa hai 'bashir'
mere hisse ki mujhe kyun na rida di jae


Source: Book : Monthly Adab-e-Latif (Pg. 123) Author : Siddiqah Begum Publication : Aaftab Ahmed Chaudhry (2012) Edition : 2012

Leave a comment

+