kisī mahal meñ na shāhoñ kī ān-bān meñ hai
sukūn jo kisī Dhābe ke sā.ebān meñ hai
maiñ us maqām par huuñ jaise koī ḳhālī haath
nigāh-e-hasrat-o-armāñ liye dukān meñ hai
darinde shahr meñ ābād ho ga.e saare
sunā hai saath kā jañgal baḌī amaan meñ hai
ye jāntā hai palaT kar use nahīñ aanā
vo apnī ziist kī khiñchtī huī kamān meñ hai
kisi mahal mein na shahon ki aan-ban mein hai
sukun jo kisi Dhabe ke saeban mein hai
main us maqam par hun jaise koi KHali hath
nigah-e-hasrat-o-arman liye dukan mein hai
darinde shahr mein aabaad ho gae sare
suna hai sath ka jangal baDi aman mein hai
ye jaanta hai palaT kar use nahin aana
wo apni zist ki khinchti hui kaman mein hai
Leave a comment