Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jamal Ehsani

  • Ghazal


milna nahin to yaad use karna bhi chhoD de


milnā nahīñ to yaad use karnā bhī chhoḌ de
dīvār chhoḌ dī hai to saaya bhī chhoḌ de

ik aadmī se tark-e-marāsim ke ba.ad ab
kyā us galī se koī guzarnā bhī chhoḌ de

aanā ab us ne chhoḌ diyā hai agar to kyā
dil be-sabab charāġh jalānā bhī chhoḌ de

mazbūt kashtiyoñ ko bachāne ke vāste
dariyā meñ ek naav shikasta bhī chhoḌ de

allāh kī zamīn baḌī hai bahut 'jamāl'
izzat nahīñ jahāñ vahāñ rahnā bhī chhoḌ de

milna nahin to yaad use karna bhi chhoD de
diwar chhoD di hai to saya bhi chhoD de

ek aadmi se tark-e-marasim ke baad ab
kya us gali se koi guzarna bhi chhoD de

aana ab us ne chhoD diya hai agar to kya
dil be-sabab charagh jalana bhi chhoD de

mazbut kashtiyon ko bachane ke waste
dariya mein ek naw shikasta bhi chhoD de

allah ki zamin baDi hai bahut 'jamal'
izzat nahin jahan wahan rahna bhi chhoD de


Leave a comment

+