ḳhvāb ā.īna kar rahī hai dil meñ
jo umr guzar rahī hai dil meñ
āhañg-e-vajūd ban ke har dam
ik mauj-e-digar rahī hai dil meñ
har saañs dhuāñ dhuāñ hai lekin
chāñdī c nikhar rahī hai dil meñ
mahkī huī dard kī chamelī
kyā raushnī bhar rahī hai dil meñ
bastī meñ jame rahe añdhere
be-tāb sahar rahī hai dil meñ
rah rah ke visāl kī tamannā
kyā kyā ras bhar rahī hai dil meñ
āvāra bhī ham hue to 'yūsuf'
ik samt-e-safar rahī hai dil meñ
KHwab aaina kar rahi hai dil mein
jo umr guzar rahi hai dil mein
aahang-e-wajud ban ke har dam
ek mauj-e-digar rahi hai dil mein
har sans dhuan dhuan hai lekin
chandi c nikhar rahi hai dil mein
mahki hui dard ki chameli
kya raushni bhar rahi hai dil mein
basti mein jame rahe andhere
be-tab sahar rahi hai dil mein
rah rah ke visal ki tamanna
kya kya ras bhar rahi hai dil mein
aawara bhi hum hue to 'yusuf'
ek samt-e-safar rahi hai dil mein
Leave a comment