ek merī jaañ meñ aur ik lahar sahrāoñ meñ thī
kuchh nukīle sañg the kuchh ret dariyāoñ meñ thī
kyā huā vo garm dopahroñ meñ yaḳh honā mirā
kyā huī vo dhuup sī lazzat ki jo chhāñv meñ thī
kyā ḳhabar kyā jism the kyuuñ mauj-e-sahrā ho ga.e
kyā batā.eñ kis balā kī guuñj dariyāoñ meñ thī
shahr vaale kab ke mahrūm-e-basārat ho chuke
ratjage kī rasm to bas aañkh ke gaañv meñ thī
apne saudā ke liye ye izzat-e-sañg-e-rasā
kuchh adū ke haath meñ kuchh apnī rekhāoñ meñ thī
ab to jismoñ meñ lahū kī buuñd tak baaqī nahīñ
phir bhī ham ko lūTne kī hirs āqāoñ meñ thī
tū agar āzād lamhoñ kā payambar hai 'najīb'
raat kī zanjīr kyuuñ phir vaqt ke paañv meñ thī
ek meri jaan mein aur ek lahar sahraon mein thi
kuchh nukile sang the kuchh ret dariyaon mein thi
kya hua wo garm dopahron mein yaKH hona mera
kya hui wo dhup si lazzat ki jo chhanw mein thi
kya KHabar kya jism the kyun mauj-e-sahra ho gae
kya bataen kis bala ki gunj dariyaon mein thi
shahr wale kab ke mahrum-e-basarat ho chuke
ratjage ki rasm to bas aankh ke ganw mein thi
apne sauda ke liye ye izzat-e-sang-e-rasa
kuchh adu ke hath mein kuchh apni rekhaon mein thi
ab to jismon mein lahu ki bund tak baqi nahin
phir bhi hum ko luTne ki hirs aaqaon mein thi
tu agar aazad lamhon ka payambar hai 'najib'
raat ki zanjir kyun phir waqt ke panw mein thi
Leave a comment