Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Govind Gulshan

  • Ghazal


dard jab jab jahan se guzrega


dard jab jab jahāñ se guzregā
qāfila ho ke jaañ se guzregā

fikr meñ aa.egā savāl mirā
aur javāb us kā haañ se guzregā

maiñ to ye soch bhī nahīñ saktā
koī shikva zabāñ se guzregā

sāmne aa.egā mirā kirdār
zikr jab dāstāñ se guzregā

phir mujhe yaad aa.egā bachpan
ik zamāna gumāñ se guzregā

rahguzar hai udaas merī tarah
jaane kab vo yahāñ se guzregā

log hairat meñ Duub jā.eñge
jab bhī vo darmiyāñ se guzregā

ye parinda jo qaid meñ hai abhī
ek din āsmāñ se guzregā

dard jab jab jahan se guzrega
qafila ho ke jaan se guzrega

fikr mein aaega sawal mera
aur jawab us ka han se guzrega

main to ye soch bhi nahin sakta
koi shikwa zaban se guzrega

samne aaega mera kirdar
zikr jab dastan se guzrega

phir mujhe yaad aaega bachpan
ek zamana guman se guzrega

rahguzar hai udas meri tarah
jaane kab wo yahan se guzrega

log hairat mein Dub jaenge
jab bhi wo darmiyan se guzrega

ye parinda jo qaid mein hai abhi
ek din aasman se guzrega


Feb. Mar 1996"

Leave a comment

+