Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Charagh Barelvi

  • Ghazal


Dubte waqt jo kuchh hath mein gauhar aae


Dūbte vaqt jo kuchh haath meñ gauhar aa.e
sab ke sab nāḳhudā ke haath meñ ham dhar aa.e

jañg laḌne ga.e ham jo sahar-e-duniyā se
shaam ko ghar ka.ī hissoñ meñ bikhar kar aa.e

us kī āñkhoñ ko tamāshe kī tamannā hai bahut
us se kahnā ki kisī raat mire ghar aa.e

haa.e us naql-e-makānī ne kiyā hai barbād
jitne basne ko ga.e utne ujaḌ kar aa.e

Dubte waqt jo kuchh hath mein gauhar aae
sab ke sab naKHuda ke hath mein hum dhar aae

jang laDne gae hum jo sahar-e-duniya se
sham ko ghar kai hisson mein bikhar kar aae

us ki aankhon ko tamashe ki tamanna hai bahut
us se kahna ki kisi raat mere ghar aae

hae us naql-e-makani ne kiya hai barbaad
jitne basne ko gae utne ujaD kar aae


Leave a comment

+