der ke saath haram aa.e shivāle aa.e
aaj chhan chhan ke añdheroñ se ujāle aa.e
barahman aa.e haiñ zunnār liye hāthoñ meñ
hazrat-e-shaiḳh bhī dastār sambhāle aa.e
ham ne be-sāḳhta kāñToñ ke dahan chuum liye
jab kabhī dasht meñ phūloñ ke havāle aa.e
hijr ke dard bhī aañsū bhī hai tanhā.ī bhī
tire jaate hī mire chāhne vaale aa.e
us ke darbār se ham ḳhāk-nashīnoñ ke liye
pairahan sone ke chāñdī ke do-shāle aa.e
taaki zahmat na bane us ko asīrī apnī
ḳhud se ham paañv meñ zanjīr ko Daale aa.e
der ke sath haram aae shiwale aae
aaj chhan chhan ke andheron se ujale aae
barahman aae hain zunnar liye hathon mein
hazrat-e-shaiKH bhi dastar sambhaale aae
hum ne be-saKHta kanTon ke dahan chum liye
jab kabhi dasht mein phulon ke hawale aae
hijr ke dard bhi aansu bhi hai tanhai bhi
tere jate hi mere chahne wale aae
us ke darbar se hum KHak-nashinon ke liye
pairahan sone ke chandi ke do-shaale aae
taki zahmat na bane us ko asiri apni
KHud se hum panw mein zanjir ko Dale aae
Leave a comment