ik to use har baat meñ had chāhiye merī
phir us pe mohabbat bhī ashad chāhiye merī
pahle use darkār thī shaam aur ye shāna
ab mujh ko bhulāne meñ madad chāhiye merī
bū aane lagī tujh se bhī duniyā kī mire yaar
kuchh roz mujhe sohbat-e-bad chāhiye merī
kahtī hai farishtoñ kī tarah Tokūñ na rokūñ
aur aadmī vaalī bhī sanad chāhiye merī
kyā din meñ zarūrī hai ki auroñ meñ raho tum
kyā raat meñ bas niyyat-e-bad chāhiye merī
ek to use har baat mein had chahiye meri
phir us pe mohabbat bhi ashad chahiye meri
pahle use darkar thi sham aur ye shana
ab mujh ko bhulane mein madad chahiye meri
bu aane lagi tujh se bhi duniya ki mere yar
kuchh roz mujhe sohbat-e-bad chahiye meri
kahti hai farishton ki tarah Tokun na rokun
aur aadmi wali bhi sanad chahiye meri
kya din mein zaruri hai ki auron mein raho tum
kya raat mein bas niyyat-e-bad chahiye meri
Source: Book : Ehsas Ki Hijrat (Pg. 44)
Leave a comment