Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Kashif Husain Ghair

  • Ghazal


aasman aankh uThane se khula


āsmāñ aañkh uThāne se khulā
rāsta ḳhaak uḌāne se khulā

zindagī dhuup meñ aane se khulī
saaya dīvār uThāne se khulā

aise khultā thā kahāñ rañg-e-jahāñ
terī tasvīr banāne se khulā

baat kyā baat banāne se banī
haal kyā haal sunāne se khulā

kahīñ aatā thā yahāñ sannāTā
ye to rasta tire jaane se khulā

raat karte haiñ sitāre kaise
raat bhar niiñd na aane se khulā

aasman aankh uThane se khula
rasta KHak uDane se khula

zindagi dhup mein aane se khuli
saya diwar uThane se khula

aise khulta tha kahan rang-e-jahan
teri taswir banane se khula

baat kya baat banane se bani
haal kya haal sunane se khula

kahin aata tha yahan sannaTa
ye to rasta tere jaane se khula

raat karte hain sitare kaise
raat bhar nind na aane se khula


Source: Deewan-e-Waleeullah Muhib

Leave a comment

+