aaj tak bahkā nahīñ bāhar se dīvāna tirā
hausle merī nigāhoñ ke haiñ paimāna tirā
raat bhar shabnam kī āñkhoñ se sahar kī maañg meñ
maiñ jise likhtā rahā vo bhī thā afsāna tirā
ye tire dariyā salāmat ye tire bādal ba-ḳhair
luT rahe haiñ ḳhum pe ḳhum sābit hai mai-ḳhāna tirā
āñsuoñ kī āb-e-jū haa.il hai varna lā.ūñ maiñ
merī nazroñ kā sharar āñkhoñ kā ḳhas-ḳhāna tirā
dil meñ dhaḌkan kī tarah sāñsoñ meñ ḳhushbū kī tarah
ab ḳhayāloñ meñ bhī kab aatā hai vo aanā tirā
avval avval to tamāzat dopahar ke dasht kī
āḳhir āḳhir apnī nazroñ ko jhukā jaanā tirā
reza reza kar ga.ī patthar ko bhī shabnam kī choT
haa.e kis dil se magar vo mujh ko samjhānā tirā
aaj tak bahka nahin bahar se diwana tera
hausle meri nigahon ke hain paimana tera
raat bhar shabnam ki aankhon se sahar ki mang mein
main jise likhta raha wo bhi tha afsana tera
ye tere dariya salamat ye tere baadal ba-KHair
luT rahe hain KHum pe KHum sabit hai mai-KHana tera
aansuon ki aab-e-ju hail hai warna laun main
meri nazron ka sharar aankhon ka KHas-KHana tera
dil mein dhaDkan ki tarah sanson mein KHushbu ki tarah
ab KHayalon mein bhi kab aata hai wo aana tera
awwal awwal to tamazat dopahar ke dasht ki
aaKHir aaKHir apni nazron ko jhuka jaana tera
reza reza kar gai patthar ko bhi shabnam ki choT
hae kis dil se magar wo mujh ko samjhana tera
RECITATIONS
Fahad Husain
00:00/00:00
aaj tak bahka nahin bahar se diwana tera
Fahad Husain
Source: Saat Suron Ki Mithi Halchal
Leave a comment