ik tire vasl ke liye maulā
hijr kaaTe haiñ an-gine maulā
ik sanā-ḳhvāñ thā mahv-e-hamd-e-yār
aur ham nāchte rahe maulā
maiñ jinheñ dil pe khaa.e phirtā huuñ
tire hisse ke rañj the maulā
vo jo tujh se uThe the vo parde
merī hastī pe paḌ ga.e maulā
sūrat-e-lā meñ terī sūrat ko
ham ne dekhā to ham hī the maulā
tujh ko ro ro manāyā karte the
tujh se kaise na rūThte maulā
tere bande bahut kamīne haiñ
hausle past ho ga.e maulā
ek tere wasl ke liye maula
hijr kaTe hain an-gine maula
ek sana-KHwan tha mahw-e-hamd-e-yar
aur hum nachte rahe maula
main jinhen dil pe khae phirta hun
tere hisse ke ranj the maula
wo jo tujh se uThe the wo parde
meri hasti pe paD gae maula
surat-e-la mein teri surat ko
hum ne dekha to hum hi the maula
tujh ko ro ro manaya karte the
tujh se kaise na ruThte maula
tere bande bahut kamine hain
hausle past ho gae maula
Leave a comment