Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Kalidas Gupta Raza

  • Ghazal


zaban pe aah na sine pe dagh laya main


zabāñ pe aah na siine pe daaġh laayā maiñ
tumhārī bazm se kyā nā-murād aayā maiñ

surāġh-e-mehr-o-mohabbat kā DhūñDiyo na kahīñ
ki un kī raakh havā meñ bikher aayā maiñ

zamīñ kī sham.oñ se jab dil ko raushnī na milī
falak se chāñd sitāre utaar laayā maiñ

ḳhayāl o fikr kī āvārgī are tauba
nikal gayā jo kahīñ haath hī na aayā maiñ

hazār qāfile marg o hayāt ke guzre
na dard ne kabhī thāmā na muskurāyā maiñ

shabāb par thā chaman intiḳhāb-e-gul kaisā
tamām phuul nazar meñ sameT laayā maiñ

koī safar sā safar thā koī thī baaT sī baaT
rah-e-hayāt pe do-gām chal na paayā maiñ

bajā.e naala razā bār-hā huā aisā
ġhamoñ kī shorish-e-paiham pe muskurāyā maiñ

zaban pe aah na sine pe dagh laya main
tumhaari bazm se kya na-murad aaya main

suragh-e-mehr-o-mohabbat ka DhunDiyo na kahin
ki un ki rakh hawa mein bikher aaya main

zamin ki shamon se jab dil ko raushni na mili
falak se chand sitare utar laya main

KHayal o fikr ki aawargi are tauba
nikal gaya jo kahin hath hi na aaya main

hazar qafile marg o hayat ke guzre
na dard ne kabhi thama na muskuraya main

shabab par tha chaman intiKHab-e-gul kaisa
tamam phul nazar mein sameT laya main

koi safar sa safar tha koi thi baT si baT
rah-e-hayat pe do-gam chal na paya main

bajae nala raza bar-ha hua aisa
ghamon ki shorish-e-paiham pe muskuraya main

RECITATIONS Nomaan Shauque



00:00/00:00 zaban pe aah na sine pe dagh laya main Nomaan Shauque

Source: Funoon(Jadeed Ghazal Number: Volume-002)

Leave a comment

+