Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dr. Azam

  • Ghazal


bikegi uski hi dastar tai hai


bikegī us kī hī dastār tai hai
ki jis kī qīmat-e-kirdār tai hai

huā thā hādisa kuchh aur lekin
likhegā aur kuchh aḳhbār tai hai

baḌe āñgan pe itrāo na itnā
uThegī us meñ bhī dīvār tai hai

hai nālā.eq magar sardār kā hai
banegā beTā hī sardār tai hai

hai munsif hī giraftār-e-ta.assub
adālat meñ hamārī haar tai hai

na le jā ham ko us mahfil meñ ai dil
jahāñ honā zalīl-o-ḳhvār tai hai

hunar hai aise rishtoñ ko nibhānā
jahāñ har baat par takrār tai hai

sadā sach bolte ho tum bhī 'āzam'
tumhāre vāste bhī daar tai hai

bikegi us ki hi dastar tai hai
ki jis ki qimat-e-kirdar tai hai

hua tha hadisa kuchh aur lekin
likhega aur kuchh aKHbar tai hai

baDe aangan pe itrao na itna
uThegi us mein bhi diwar tai hai

hai nalaeq magar sardar ka hai
banega beTa hi sardar tai hai

hai munsif hi giraftar-e-tassub
adalat mein hamari haar tai hai

na le ja hum ko us mahfil mein ai dil
jahan hona zalil-o-KHwar tai hai

hunar hai aise rishton ko nibhana
jahan har baat par takrar tai hai

sada sach bolte ho tum bhi 'azam'
tumhaare waste bhi dar tai hai


Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab

Leave a comment

+