Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Naeem Sarmad

  • Ghazal


kaf se nun talak shor macha wahshat hai


kaaf se nuun talak shor machā vahshat hai
ya.anī is ahd meñ jo kuchh bhī huā vahshat hai

lā-makānī meñ makāñ hosh-o-ḳhirad ke nahīñ haiñ
yuuñ samajh le ki ḳhalāoñ kā ḳhudā vahshat hai

vo jo ik baat hai jo tujh ko batā.ī na ga.ī
vo jo ik raaz hai jo khul na sakā vahshat hai

ab mirā aks kisī taur nahīñ TūTegā
mere darvesh ke hoñThoñ kī duā vahshat hai

mere maulā se aqīdat kī jazā hai jannat
mere maulā se mohabbat kī jazā hai vahshat hai

mere bāloñ meñ bhī miTTī hai tire kūche kī
mere dāman se bhī rāzī-bā-razā vahshat hai

naql kartā hai merī hosh meñ aa dīvāne
mere andāz churāne ko sazā vahshat hai

kaf se nun talak shor macha wahshat hai
yani is ahd mein jo kuchh bhi hua wahshat hai

la-makani mein makan hosh-o-KHirad ke nahin hain
yun samajh le ki KHalaon ka KHuda wahshat hai

wo jo ek baat hai jo tujh ko batai na gai
wo jo ek raaz hai jo khul na saka wahshat hai

ab mera aks kisi taur nahin TuTega
mere darwesh ke honThon ki dua wahshat hai

mere maula se aqidat ki jaza hai jannat
mere maula se mohabbat ki jaza hai wahshat hai

mere baalon mein bhi miTTi hai tere kuche ki
mere daman se bhi raazi-ba-raza wahshat hai

naql karta hai meri hosh mein aa diwane
mere andaz churane ko saza wahshat hai


Leave a comment

+