Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Zafar Gorakhpuri

  • Ghazal


na bhul pae tumhein hadisa hi aisa tha


na bhuul paa.e tumheñ hādisa hī aisā thā
na bhar sakā koī us ko ḳhalā hī aisā thā

vo mujh meñ rah ke mujhe kāTtā rahā pal-pal
zabāñ pe aa na sakā mājrā hī aisā thā

nazar na aa.ī kahīñ duur duur tak koī mauj
maiñ ġharq ho gayā tūfāñ uThā hī aisā thā

na aayā lutf kisī aur ġham ko jhelne meñ
ġham-e-hayāt tirā zā.iqa hī aisā thā

khule to lab magar alfāz donoñ samt na the
mukālima na huā marhala hī aisā thā

ab us kā rañj bhī kyā kyuuñ lahūluhān haiñ paañv
chale the jis pe 'zafar' rāsta hī aisā thā

na bhul pae tumhein hadisa hi aisa tha
na bhar saka koi us ko KHala hi aisa tha

wo mujh mein rah ke mujhe kaTta raha pal-pal
zaban pe aa na saka majra hi aisa tha

nazar na aai kahin dur dur tak koi mauj
main gharq ho gaya tufan uTha hi aisa tha

na aaya lutf kisi aur gham ko jhelne mein
gham-e-hayat tera zaiqa hi aisa tha

khule to lab magar alfaz donon samt na the
mukalima na hua marhala hi aisa tha

ab us ka ranj bhi kya kyun lahuluhan hain panw
chale the jis pe 'zafar' rasta hi aisa tha


Leave a comment

+