Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Kaif Bhopali

  • Ghazal


etakaf mein zahid munh chhupae baiTha hai


etakāf meñ zāhid muñh chhupā.e baiThā hai
ġhāliban zamāne se maat khaa.e baiThā hai

vā.e-āshiq-e-nādāñ kā.enāt ye terī
ik shikasta shīshe ko dil banā.e baiThā hai

tālibān-e-dīd un ke dhuup dhuup phirte haiñ
ġhair un ke kūche meñ saa.e saa.e baiThā hai

is taraf bhī ai sāhab iltifāt-e-yak-mizhgāñ
ik ġharīb mahfil meñ sar jhukā.e baiThā hai

dūr-bāsh ai gulchīñ vā hai dīda-e-nargis
aaj har gul-e-nāzuk ḳhaar khaa.e baiThā hai

kyuuñ sunā nahīñ detā faisla muqaddar kā
nāma-bar mire aage ḳhat chhupā.e baiThā hai

sub.h kī havā un se sirf itnā kah denā
koī sham.a kī ab tak lau baḌhā.e baiThā hai

etakaf mein zahid munh chhupae baiTha hai
ghaaliban zamane se mat khae baiTha hai

wae-ashiq-e-nadan kaenat ye teri
ek shikasta shishe ko dil banae baiTha hai

taliban-e-did un ke dhup dhup phirte hain
ghair un ke kuche mein sae sae baiTha hai

is taraf bhi ai sahab iltifat-e-yak-mizhgan
ek gharib mahfil mein sar jhukae baiTha hai

dur-bash ai gulchin wa hai dida-e-nargis
aaj har gul-e-nazuk KHar khae baiTha hai

kyun suna nahin deta faisla muqaddar ka
nama-bar mere aage KHat chhupae baiTha hai

subh ki hawa un se sirf itna kah dena
koi shama ki ab tak lau baDhae baiTha hai


Leave a comment

+