thakan ġhālib hai dam TuuTe hue haiñ
safar jaarī qadam TuuTe hue haiñ
ba-zāhir to haiñ sālim jism-o-jāñ se
magar andar se ham TuuTe hue haiñ
adhūre haiñ yahāñ saare ke saare
sabhī to besh-o-kam TuuTe hue haiñ
burā ho e'timād-e-bāhamī kā
ki sab qaul-o-qasam TuuTe hue haiñ
ta.alluq TūTne ko hai jahāñ se
chalo ki band-e-ġham TuuTe hue haiñ
ḳhudā kā ghar na baḳhshā zālimoñ ne
ka.ī dair-o-haram TuuTe hue haiñ
unheñ munsif nahīñ qātil kaho tum
ki sab un ke qalam TuuTe hue haiñ
thakan ghaalib hai dam TuTe hue hain
safar jari qadam TuTe hue hain
ba-zahir to hain salim jism-o-jaan se
magar andar se hum TuTe hue hain
adhure hain yahan sare ke sare
sabhi to besh-o-kam TuTe hue hain
bura ho e'timad-e-bahami ka
ki sab qaul-o-qasam TuTe hue hain
talluq TuTne ko hai jahan se
chalo ki band-e-gham TuTe hue hain
KHuda ka ghar na baKHsha zalimon ne
kai dair-o-haram TuTe hue hain
unhen munsif nahin qatil kaho tum
ki sab un ke qalam TuTe hue hain
Source: Book : Aazadi ke baad dehli men urdu gazal (Pg. 297) Author : Professor Unwan Chishti Publication : Asila Offset Printers, Kalan Mahal, Dariyaganj, New Delhi-6 (1989) Edition : 1989
Leave a comment