Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Dilshad Naseem

  • Ghazal


yaad karna muhaal lagta hai


yaad karnā muhāl lagtā hai
hāfize kā kamāl lagtā hai

garm hāthoñ se aañch aatī hai
sardiyoñ kī vo shaal lagtā hai

vaqt ho dost yā koī pal ho
jo bhī guzrā kamāl lagtā hai

habs itnā hai merī miTTī meñ
saañs lenā muhāl lagtā hai

hijr barsā hai aañkh se jab bhī
mujh ko bhādoñ kā haal lagtā hai

kaun dekhegā haath par qismat
bas lakīroñ kā jaal lagtā hai

mausam-e-ishq aa gayā hai kyā
dastakoñ kā dhamāl lagtā hai

bad-gumānī hai us kī āñkhoñ meñ
dil ke shīshe meñ baal lagtā hai

yaad karna muhaal lagta hai
hafize ka kamal lagta hai

garm hathon se aanch aati hai
sardiyon ki wo shaal lagta hai

waqt ho dost ya koi pal ho
jo bhi guzra kamal lagta hai

habs itna hai meri miTTi mein
sans lena muhaal lagta hai

hijr barsa hai aankh se jab bhi
mujh ko bhadon ka haal lagta hai

kaun dekhega hath par qismat
bas lakiron ka jal lagta hai

mausam-e-ishq aa gaya hai kya
dastakon ka dhamal lagta hai

bad-gumani hai us ki aankhon mein
dil ke shishe mein baal lagta hai


Source: Shab Khoon(Shumara Number-052)

Leave a comment

+