Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Naeem Sarmad

  • Ghazal


mujh mein meri zat bhi rakkhi hui hai dost


mujh meñ merī zaat bhī rakkhī huī hai dost
chhoḌ ye baat to aur bhī uljhī huī hai dost

ham logoñ ko paanī achchhā lagtā hai
ham logoñ ne miTTī pahnī huī hai dost

kitnā saj-dhaj kar mahfil meñ aayā huuñ
merī vahshat ghar par rakkhī huī hai dost

is tasvīr kā lahja dekh rahā hai tū
ye tasvīr bhī mujh se rūThī huī dost

vo laḌkī jo sab se ziyāda hañs rahī hai
us kī āñkheñ dekh vo roī huī hai dost

jis bakse meñ tere suiT rakhe haiñ nā
us meñ merī jeans bhī rakkhī huī hai dost

mujh mein meri zat bhi rakkhi hui hai dost
chhoD ye baat to aur bhi uljhi hui hai dost

hum logon ko pani achchha lagta hai
hum logon ne miTTi pahni hui hai dost

kitna saj-dhaj kar mahfil mein aaya hun
meri wahshat ghar par rakkhi hui hai dost

is taswir ka lahja dekh raha hai tu
ye taswir bhi mujh se ruThi hui dost

wo laDki jo sab se ziyaada hans rahi hai
us ki aankhen dekh wo roi hui hai dost

jis bakse mein tere suiT rakhe hain na
us mein meri jeans bhi rakkhi hui hai dost


Leave a comment

+