maanā ki ham is daur kā hāsil to nahīñ the
nā-qadrī-e-duniyā ke bhī qābil to nahīñ the
aatā to sahī bād-e-sahar kā koī jhoñkā
ham ḳhaas kisī phuul pe maa.il to nahīñ the
har shaḳhs ne naqsh-e-kaf-e-pā ham ko banāyā
har shaḳhs kī ham raah meñ haa.il to nahīñ the
do ghūñT hī pī lete agar koī pilātā
ham rind-e-ḳhush-auqāt the saa.il to nahīñ the
kyā baat hai 'nūrī' jo hai ab lahje meñ narmī
tum narmī-e-guftār ke qātil to nahīñ the
mana ki hum is daur ka hasil to nahin the
na-qadri-e-duniya ke bhi qabil to nahin the
aata to sahi baad-e-sahar ka koi jhonka
hum KHas kisi phul pe mail to nahin the
har shaKHs ne naqsh-e-kaf-e-pa hum ko banaya
har shaKHs ki hum rah mein hail to nahin the
do ghunT hi pi lete agar koi pilata
hum rind-e-KHush-auqat the sail to nahin the
kya baat hai 'nuri' jo hai ab lahje mein narmi
tum narmi-e-guftar ke qatil to nahin the
Source: Book : Nuskha Hai Wafa (Pg. 293 (369))
Leave a comment