Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Iffat abbas

  • Ghazal


hai ye mar miTne ka inam tumhein kya malum


hai ye mar miTne kā in.aam tumheñ kyā ma.alūm
lazzat-e-dashna-e-ba-dnām tumheñ kyā ma.alūm

tum ne dekhī hai faqat merī pareshāñ-hālī
mujh pe kyā kyā hue ikrām tumheñ kyā ma.alūm

hairatī ho ke uThā.e hue dil phirte haiñ
is ke lag jaane kā anjām tumheñ kyā ma.alūm

jazba-e-ḳhvāhish-o-ehsās kī is baazī meñ
kaun ho jā.egā nākām tumheñ kyā ma.alūm

dekhte ho mujhe par-basta to hañs dete ho
hai yahāñ kaun tah-e-dām tumheñ kyā ma.alūm

vaqt kā rañg badalte nahīñ dekhā tum ne
sūrat-e-gardish-e-ayyām tumheñ kyā ma.alūm

mausam-e-mehr ke do-chār baras dekhe haiñ
saḳhtī-e-mausam-e-ālām tumheñ kyā ma.alūm

hai ye mar miTne ka inam tumhein kya malum
lazzat-e-dashna-e-ba-dnam tumhein kya malum

tum ne dekhi hai faqat meri pareshan-haali
mujh pe kya kya hue ikram tumhein kya malum

hairati ho ke uThae hue dil phirte hain
is ke lag jaane ka anjam tumhein kya malum

jazba-e-KHwahish-o-ehsas ki is bazi mein
kaun ho jaega nakaam tumhein kya malum

dekhte ho mujhe par-basta to hans dete ho
hai yahan kaun tah-e-dam tumhein kya malum

waqt ka rang badalte nahin dekha tum ne
surat-e-gardish-e-ayyam tumhein kya malum

mausam-e-mehr ke do-chaar baras dekhe hain
saKHti-e-mausam-e-alam tumhein kya malum


Source: Book : auraq salnama magazines (Pg. 485) Author : Wazir Agha,Arif Abdul Mateen Publication : Daftar Mahnama Auraq Lahore (1967) Edition : 1967

Leave a comment

+