Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Zaeem Rasheed

  • Ghazal


junbish-e-arz-o-samawat mein aae hue hain


junbish-e-arz-o-samāvāt meñ aa.e hue haiñ
in dinoñ gardish-e-hālāt meñ aa.e hue haiñ

ab jo tū chāhe jahāñ chāhe hameñ le jaa.e
kyā kareñ ham jo tire haath meñ aa.e hue haiñ

maiñ akelā hī nahīñ aayā tujhe dekhne ko
kuchh sitāre bhī mire saath meñ aa.e hue haiñ

ai mah-e-chār-dahum terī ḳhushī kī ḳhātir
ik siyah-rāt kī bohtāt meñ aa.e hue haiñ

maiñ bhī din-rāt yahāñ kūza-garī kartā huuñ
us ke sab rañg mirī zaat meñ aa.e hue haiñ

ishq ḳhud aap ḳhurāfāt-e-tamannā hai 'za.īm'
is liye dasht-e-ḳhurāfāt meñ aa.e hue haiñ

junbish-e-arz-o-samawat mein aae hue hain
in dinon gardish-e-haalat mein aae hue hain

ab jo tu chahe jahan chahe hamein le jae
kya karen hum jo tere hath mein aae hue hain

main akela hi nahin aaya tujhe dekhne ko
kuchh sitare bhi mere sath mein aae hue hain

ai mah-e-chaar-dahum teri KHushi ki KHatir
ek siyah-raat ki bohtat mein aae hue hain

main bhi din-raat yahan kuza-gari karta hun
us ke sab rang meri zat mein aae hue hain

ishq KHud aap KHurafat-e-tamanna hai 'zaim'
is liye dasht-e-KHurafat mein aae hue hain


Leave a comment

+