Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jafar Shirazi

  • Ghazal


ji larazta hai umaDti hui tanhai se


jī laraztā hai umaDtī huī tanhā.ī se
ab nikālo mujhe us raat kī pahnā.ī se

aa.ī yādoñ kī havā ghulne lagā kaan meñ zahr
bujh ga.ī shaam bhī bajtī huī shahnā.ī se

pūchhtā phirtā huuñ galiyoñ ke ujaḌne kā sabab
har taraf jam.a haiñ kyā log tamāshā.ī se

sāmne phailā huā dasht kā sannāTā hai
ab kahāñ bach ke chaleñ ham dil-e-saudā.ī se

ban gayā ek qayāmat dar-e-dil tak aanā
aur guzarnā hai abhī dhyān kī añgnā.ī se

kis tarah apnā banā.eñ use ham ai 'ja.afar'
baat aage na baḌhī jis kī shanāsā.ī se

ji larazta hai umaDti hui tanhai se
ab nikalo mujhe us raat ki pahnai se

aai yaadon ki hawa ghulne laga kan mein zahr
bujh gai sham bhi bajti hui shahnai se

puchhta phirta hun galiyon ke ujaDne ka sabab
har taraf jama hain kya log tamashai se

samne phaila hua dasht ka sannaTa hai
ab kahan bach ke chalen hum dil-e-saudai se

ban gaya ek qayamat dar-e-dil tak aana
aur guzarna hai abhi dhyan ki angnai se

kis tarah apna banaen use hum ai 'jafar'
baat aage na baDhi jis ki shanasai se


Source: Book : Shakhe Sanobar (Pg. 129) Author : Karamat Ali Karamat Publication : Kamran Publications,Odisha (2006) Edition : 2006

Leave a comment

+