Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Ezaz Kazmi

  • Ghazal


wo tark-e-ishq ka tha rasta chala gaya main


vo tark-e-ishq kā thā rāsta chalā gayā maiñ
bilā-irāda hī jis par chalā chalā gayā maiñ

vo shaḳhs yūñhī kahīñ rāste meñ mil gayā thā
palak jhapak ke use dekhtā chalā gayā maiñ

mirī hayāt meñ ik dūsrī mohabbat thī
use bhī aur koī mil gayā chalā gayā maiñ

ḳhabar nahīñ ki yahāñ aur kaun hai maujūd
pata karo ki yahīñ par huuñ yā chalā gayā maiñ

phir us ke ba.ad kahāñ thā mujhe nahīñ ma.alūm
faqīr-e-ishq se le kar duā chalā gayā maiñ

wo tark-e-ishq ka tha rasta chala gaya main
bila-irada hi jis par chala chala gaya main

wo shaKHs yunhi kahin raste mein mil gaya tha
palak jhapak ke use dekhta chala gaya main

meri hayat mein ek dusri mohabbat thi
use bhi aur koi mil gaya chala gaya main

KHabar nahin ki yahan aur kaun hai maujud
pata karo ki yahin par hun ya chala gaya main

phir us ke baad kahan tha mujhe nahin malum
faqir-e-ishq se le kar dua chala gaya main


Source: Book : bujht-e-lamhon ka dhuvan (Pg. 24) Author : pp srivastv rind Publication : niralii duniya publication (2012) Edition : 2012

Leave a comment

+