Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Jalaluddin Akbar

  • Ghazal


ye bhul bhi kya bhul hai ye yaad bhi kya yaad


ye bhuul bhī kyā bhuul hai ye yaad bhī kyā yaad
tū yaad hai aur koī nahīñ tere sivā yaad

us husn-e-ta.alluq kā adā shukr ho kyūñ-kar
maiñ ne jo kiyā yaad to us ne bhī kiyā yaad

us mard-e-ḳhudā-mast kī kyā baat hai 'akbar'
jis ko na rahā kuchh bhī bajuz yād-e-ḳhudā yaad

ye bhul bhi kya bhul hai ye yaad bhi kya yaad
tu yaad hai aur koi nahin tere siwa yaad

us husn-e-talluq ka ada shukr ho kyun-kar
main ne jo kiya yaad to us ne bhi kiya yaad

us mard-e-KHuda-mast ki kya baat hai 'akbar'
jis ko na raha kuchh bhi bajuz yaad-e-KHuda yaad


Source: Dewan-e-Faiz

Leave a comment

+