Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Charagh Sharma

  • Ghazal


chaman mein kaun babulon ki Dal khinchta hai


chaman meñ kaun babūloñ kī Daal khīñchtā hai
yahāñ jo aatā hai phūloñ ke gaal khīñchtā hai

vo tiir baad meñ pahle savāl khīñchtā hai
savāl bhī jo samā.at kī khaal khīñchtā hai

ai pyaar bāñTne vaale maiñ ḳhuub jāntā huuñ
ki kitnī der meñ machhvārā jaal khīñchtā hai

nikal bhī saktā huuñ qaid-e-taḳhaiyyulāt se gar
vo shaḳhs khīñch le jis kā ḳhayāl khīñchtā hai

maiñ us ke aage nahīñ khīñchtā niyām se teġh
vo sher-shāh jo dushman kī Dhaal khīñchtā hai

ye sard sub.h meñ soyā sharārtī sūraj
bas aañkh khulte hī pariyoñ kī shaal khīñchtā hai

maiñ hosh-mand huuñ ḳhud bhī so merī ġhazloñ meñ
na raqs kartā hai āshiq na baal khīñchtā hai

chaman mein kaun babulon ki Dal khinchta hai
yahan jo aata hai phulon ke gal khinchta hai

wo tir baad mein pahle sawal khinchta hai
sawal bhi jo samaat ki khaal khinchta hai

ai pyar banTne wale main KHub jaanta hun
ki kitni der mein machhwara jal khinchta hai

nikal bhi sakta hun qaid-e-taKHaiyyulat se gar
wo shaKHs khinch le jis ka KHayal khinchta hai

main us ke aage nahin khinchta niyam se tegh
wo sher-shah jo dushman ki Dhaal khinchta hai

ye sard subh mein soya shararti suraj
bas aankh khulte hi pariyon ki shaal khinchta hai

main hosh-mand hun KHud bhi so meri ghazlon mein
na raqs karta hai aashiq na baal khinchta hai


Leave a comment

+