sāmne apne tū bulā ke to dekh
hausla merā aazmā ke to dekh
mah-e-kāmil bhī maañd paḌ jaa.e
apnā chehra use dikhā ke to dekh
aaj qaus-e-quzah kā lutf kahāñ
apne aariz pe rañg hayā ke to dekh
maiñ tirī āḳhirī zarūrat huuñ
tū kabhī mujh se duur jā ke to dekh
jāñ-ba-lab huuñ qarār aa jaa.e
apnī palkeñ zarā uThā ke to dekh
haiñ duāoñ se mo.ajize mumkin
tū ḳhudā ko kabhī manā ke to dekh
samne apne tu bula ke to dekh
hausla mera aazma ke to dekh
mah-e-kaamil bhi mand paD jae
apna chehra use dikha ke to dekh
aaj qaus-e-quzah ka lutf kahan
apne aariz pe rang haya ke to dekh
main teri aaKHiri zarurat hun
tu kabhi mujh se dur ja ke to dekh
jaan-ba-lab hun qarar aa jae
apni palken zara uTha ke to dekh
hain duaon se moajize mumkin
tu KHuda ko kabhi mana ke to dekh
Source: Book : Kulliyat-e-Yagana (Pg. 152) Author : Meerza Yagana Changezi Lukhnawi Publication : Farib Book Depot (P) Ltd. (2005) Edition : 2005
Leave a comment